

(inquilab zindabad)
Sarkarein aati jaati hain
Par yeh mitti humari hai
Har mod pe danda khaya
Ab ladne ki baari hai
Suno suno yeh dastaan Zulm ke
khilaaf khada jahaan (aazaadi!)
Inquilab ki raah pe
chal pade hain hum
Rok sako toh rok lo na
jhukenge yeh kadam!
Kitabein padhne aaye the
Tumne hathiyar uthwa diye
Sach bola toh dushman
Aur dande barsa diye
Lathi se na darenge hum
Goli se na darenge hum
Suno tumhare zulam se
Ab nahi
darenge hum!
Inquilab ki raah pe
chal pade hain hum
Rok sako toh rok lo na
jhukenge yeh kadam!
Inquilab zindabad!
Inquilab zindabad!